रविवार, 21 अगस्त 2016

माँ

Haqeeqat zindgi ki jab kabhi mujhko draati hai ...
meri maa ban ke ik taaqat mujhe ladna sikhati hai
हक़ीक़त ज़िन्दगी की जब कभी मुझको डराती है
मेरी माँ बनके इक ताक़त मुझे लड़ना सिखाती है

koi maa choomti hai jab kisi bachhe ki peshaani
ghadi maa se bichhudne ki bahut mujhko rulaati hai
कोई माँ चूमती है जब किसी बच्चे की पेशानी
घडी माँ से बिछुड़ने की बहुत मुझको रुलाती है

piro kar ashk meri aankh mein jaane kahaan hai tu
teri mamta bhari thapki hamesha yaad aati hai
पिरो कर अश्क मेरी आँख में जाने कहाँ है तू
तेरी ममता भरी थपकी हमेशा याद आती है

jahaaN mein saamna jab bhi mera julmat se hota hai
meri banke ik sooraj mujhe rasta dikhati hai
जहाँ में सामना जब भी मेरा ज़ुल्मत से होता है
मेरी माँ बनके इक सूरज मुझे रस्ता दिखाती है

kbhi maar ooh mein hansti kabhi dil mein dhadkati hai
kabhi khushboo ke jaisee har taraf vo fael jaati hai
कभी माँ रूह में हंसती कभी दिल में धड़कती है
कभी ख़ुशबू के जैसी हर तरफ़ वो फ़ैल जाती है

nahi hai aaj mere saath par mujhko yeh lagta hai
vo har shab aake baahoN ka mujhe jhoola jhulaati hai
नहीं है आज मेरे साथ पर मुझको यूं लगता है
वो हर शब आके बाहों का मुझे झूला झुलाती है

PremLata Sharma
21/8/2016

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें