शनिवार, 6 दिसंबर 2014

ग़ज़ल ...aapki duaaoN ki muntzir

हम अहल-ए-जुनूं की बस मौजों पे सवारी है
कागज़ का सफ़ीना है गरदाब से यारी है
...
साहिल पे तड़पती है अब तिश्ना लबी हर दम
यह कैसा समंदर है जो मौज से आरी है

यह हर्फ़-ए-वफ़ा जिसने लिक्खा था मिरे दिल पर
अब वादा निभाने की, खुद उसकी ही बारी है

ऐ शब के सितारों तुम खुर्शीद को ले आओ
माज़ी के तआकुब में हर रात गुज़ारी है

तौबा का ज़माना है पीने का नहीं मौक़ा
आंखों के यह डोरे तो उल्फ़त की ख़ुमारी है
,
इल्ज़ाम के सब पत्थर इस तरह सहे हम ने
हर ज़ख्म के सीने में जो चोट है कारी है

खूँ आँखों से जो टपका अशआ’र के पैकर में
तब प्रेम की ग़ज़लों ने तस्वीर उतारी है

मौजों ...लहरों
गरदाब..भंवर
सफ़ीना .. नाव
१कारी ...गहरी २ख़ुर्शीद...सूरज ३साहिल...किनारा ४ माज़ी...अतीत ५तिश्ना लबी ...होंटों की प्यास ६ आरी ...खाली

प्रेम लता शर्मा
३०/३/२०१४
HAM EHAL-E-JUNOOn KI BAS MAUJON PE SAWAARI HAI
KAGAZ KA SPHEENA HAI GARDAAB SE YAARI HAI

SAHIL PE TADAPTI HA AB TISHNA LABI HAR DAM
YEH KAISA SAMANDER HAI JO MAUJ SE ARRI HAI

YEH HARF-E-WAFAA JIS NE LIKKHA THA MIRE DIL PAR
AB WADAA NIBHANE KI KHUD USKI HI BAARI HAI

AEA SHAB KE SITARO TUM KHURSHEED KO LE AAO
MAAZI KE TA-AKUB MEIN HAR RAAT GUZAARI HAI

TAUBA KA ZMAANA HAI , PEENE KA NAHI MAUQA
AANKHON KE YEH DORE TO ULFAT KI KHUMAARI HAI

ILZAAM KE SAB PATHHAR IS TRAH SAHE HAM NE
HAR ZKHAM KE SEENE MEIN JO CHOT HAI KAARI HAI

KHOON AANKHON SE JO TAPKAA ASHAA’R KE PAIKAR MEIN
TAB PREM KI GHAZALON NE TASVEER UTAARI HAI

©Prem Lata Sharma...30/3/2014
TARHI GHAZAL

MISRA: KUCHH BHI NAHIN RAHAA HAI MERE IKHTIYAAR MEIN

तरही ग़ज़ल ...
ख़ुशबू से कह दो फ़ैले यहाँ इख़्तिसार में
शहज़ादी महव-ए-ख़्वाब है टूटे मज़ार में

शबनम भी आंसुओ की तरह गुल पे छा गई
कोई उदास कर गया फ़स्ल-ए-बहार में

ग़म हाथ बांधे सर को झुकाए हैं हर तरफ
ये कैसी सल्तनत है मेरे इक़तिदार में

अब कोई चश्म-ए-तर का सबब पूछता नहीं
पथरा गई है आँख मेरी इन्तिज़ार में

क्या क्या लिखूँ ग़ज़ल में क़लम सोचने लगा
वो रत जगे कहाँ हैं भला अब शुमार में

इक जिन्स-ए-ख़्वाब था सो उसे भी किया है सल्ब
"कुछ भी नहीं बचा है मेरे इख्तियार में "

धड़का है, वाहिमा है, तजस्सुस है, क्या है ये
इक पल को दिल ये रहता नहीं है क़रार में

वो सब हिसाब लेने ख़िज़ाँ आई "प्रेम" से
जितने फ़रेब उसने दिये थे बहार में

TARHI GHAZAL

MISRA: KUCHH BHI NAHIN RAHAA HAI MERE IKHTIYAAR MEIN

KHUSHBOO SE KAH DO PHAILE YAHAN IKHTISAAR MEIN
SHAHZADI MAHV E KHWAB HAI TUTAY MAZAR MEIN

SHABNAM BHI AANSOO-ON KI TARAH GUL PE CHHA GAYI
KOI UDAAS KAR GYAA FASL-E-BAHAAR MEIN

GHAM HAATH BAANDHE SAR KO JHUKAAYE HAIN HAR TARAF
YEH KAISEE SALTANAT HAI MIRE IQTIDAAR MEIN

AB KOI CHASHM-E-TAR KA SABAB POOCHHTA NAHIN
PATHRAA GAYI HAI AANKH MIRI INTZAAR MEIN

KYA KYA LIKHUN GHAZAL MEIN KALAM SOCHNE LGAA
VO RAT-JAGE KAHAAN HAI BHLA AB SHUMAAR MEIN

IK JINS-E-KHWAAB THAA SO US’Y BHI KIYA SALB
KUCHH BHI NAHI RAHAA HAI MERE IKHTIYAAR MEIN

DHADKAA HAI WAAHIMA HAI, TAJJASUS HAI KYA HAI YEH?
IK PAL KO DIL YEH RAHTAA NAHI HAI QARAAR MEIN

VO SAB HISAAB LENE KHIZAAN AAYI ‘PREM’ SE
JITNEY FAREB US NE DIYE TH’Y BAHAAR MEIN

© Prem Lata Sharma.........21/6/2014
तरही मिसरा :डॉ साबिर की ग़ज़ल से
‘ हमने हर हाल में जीने की क़सम खायी है’
HAM NE HAR HAAL MEIN JEENE KI QASAM KHAAYI HAI...

GHAZAL
साज़-ए अनहद सी ही आवाज़ कोई आई है
दिल-ए-नासाज़ पे दीवानगी सी छाई है
saaz-e-anhad si hi awaaz koi aayi hai
dil-e-nasaaz pe deewaangi si chhayi hai

दिल में सहरा है जिगर आग, चश्म पुरनम है
तुम्हारी याद भी क्या क्या सौगात लायी है
dil mein sahra hai jigar aag chashm punam hai
tumhari yaad bhi kya kya sagaat laayi hai

वो एक लम्हा तिरे प्यार में गुज़रा था कभी
हर एक लम्हा उसी लम्हे की याद आई है
vo aik lamha tire pyaar mein guzra tha kabhi
har aik lamha usi lamhe ki yaad aayi hai

तुम्हारे बिन तो है दिल मक़बरा उदासी का
दर्द ही दर्द है इक आलम-ए-तन्हाई
bin to hai dil maqbraa udaadi ka
dard hi dard hai ik aalam-e-tanhaayi hai

रेत पर आज भी अल्हा को जो लैला लिख दे
उसी के नूर में एजाज़-ए मसीहाई है
reit par aaj bhi jo allah ko Laila likh de
usi ke noor mein eajaaz-e-maseehaayi hai

शिद्दत-ए-दर्द हो तारीक़ हो या ताबिंदा
हमने हर हाल में जीने क़सम खायी है
shiddat-e-dard ho taareeq ho ya taabinda
ham ne har haal mein jeene ki qasam khaayi hai

‘प्रेम’ की आँख में साहिल का ख़्वाब क्या कहिये
कश्ती-ए-इश्क़ सदा मौजों से टकराई
‘ prem, ki aankh mein sahil ka khwaab kya
kashti -e-ishq sada maujo’n se takraayi hai

© Prem Lata Sharma...01/09/2014
Ghazal

दिलरुबा जब से तुझ को पाया है
दिल में एहसास-ए-ज़िया आया है
DILRUBA JAB SE TUJH KO PAAYA HAI...
DIL MEIN EHSAAS-E-ZIYA AAYA HAI

वो समन्दर है राह तक़ता है
पानी नदियों का गुनगुनाया है
VO SAMANDER HAI RAAH TAQTA HAI
PAANI NADIYO’n KA GUNGUNAYA HAI

साक़िया ने ये क्या पिलाया है
भरके आतिश-ब-जाम लाया है
SAAQIYA NE YE KYA PILAAYA HAI
BHAR KE AATISH-B-JAAM LAAYA HAI

एक ख़ुशबू सी उड़ के आई है
रूप कलियों का मुस्कुराया है
AIK KHUSHBOO SI UD KE AAYI HAI,
KALIYO’n KA MUSKURAYA HAI

खुल गए पंख अब परिंदों के
आसमा उन में जा समाया है
KHUL GAYE PANKH AB PRINDO’n KE,
AASMA UN ME JAA SMAAYA HAI

जो न करना था वो भी कर गुज़रे
इश्क़ ने इस क़दर नचाया है
JO NA KARNA THA VO BHI KAR GUZRE
ISHQ NE IS QADAR NCHAAYA HAI

दर्द सीने में जम गया जैसे
हिज्र ने यूँ मुझे रुलाया है
DARD SEENE MEIN JAM GYAA JAISE
HIJR NE YOO”n MUJHE RULAAYA HAI

तन गईं हर दरख़्त की शाख़ें
पत्तों ने प्रेम गीत गाया है
TAN GAYI’n HAR DARKHT KI SHAKHE”n
PATTO’n NE ‘PREM’ GEET GAAYA HAI

© Prem Lata Sharma
17/8/2014
GHAZAL

दिल की लगी तो दिल में लगाकर चली गयी
इक प्यास थी जो प्यास बढाकर चली गयी
DIL KI LAGI TO DIL MEIN LAGA KAR CHALI GAYEE ...
AIK PYAAS THI JO PYAAS BADHA KAR CHALI GAYEE

उल्फ़त हमारी साथ बगूले जो लायी थी
सब मेरे सहन-ए-दिल में लुटा कर चली गयी
ULFAT HAMARI SATH BAGHOOLE JO LAAYEE THI
SAB MERE SAHN E DIL MEIN LUTA KAR CHALI GAYE

रक्खी थी आईने हक़ीक़त सम्भाल कर
वो आईने से अक्स चुरा कर चली गयी
RAKKHI THI AAYENE MEIN HAQEEQAT SANBHAL KAR
WO AAYEENE SE AKS CHURA KAR CHALI GAYEE

आंधी की तरह भागती आई थी ज़िंदगी
रहबर के नक़्शे-ए-पा भी मिटा कर चली गयी
AANDHI KI TARH BHAGTI AAYEE THI ZINDAGI
RAHBAR KE NAQSH E PAA BHI MITA KAR CHALI GAYE

बदमस्त फिजाओं में तो घूंघट को सम्भाला
उलटी हवा रिदा को उड़ा कर चली गयी
Badmast fizaao’N mein to ghoonghat ko smbhal
ULTI HAWAA REDA KO UDA KAR CHALI GAYEE

मदहोशियों की लायी थी ख़ुशबू समेट कर
ख़्वाबों की कोई फ़स्ल उगा कर चली गयी
MADHOSHIYON KI LAAYEE THI KHUSHBOO SAMET KAR
KHAAWABO KI AIK FASL UGA KAR CHALI GAYEE

लब सी लिए थे हम ने मोहब्बत की बात पर
आँखों की राह दिल में समा कर चली गयी
Lab see liye thy ham ne muhabbat ki baat par..
AANKHON KI RAAH DIL MEIN SAMA KAR CHALI GAYEE

ढलने के बाद रात जो आयी थी रौशनी
तारीकी-ए-हयात बढ़ा कर चली गयी
DHALNE KE BAAD RAAT JO AAYEE THI ROSHNI
TAREEKI E HAYAAT BADHA KAR CHALI GAYEE

Prem Lata Sharma…..9/10/2014

1बगूले = बवंडर 2 रिदा= दुपट्टा 3 सहन-ए-दिल= आँगन 4 तारीकी-ए-हयात =ज़िंदगी का अँधेरा 5 रहबर =रास्ता दिखाने वाला 6 बदमस्त =मदहोश
See More
GHAZAL

तस्सवुर में ही आना जाना हुआ
हक़ीक़त में कब उसका आना हुआ
TASSVUR MEIN HI AANA JAANA HUA...
HAQEEQAT MEIN KAB USKA AANA HUA

किया रुसवा उल्फत ने कुछ इस तरह
वो शर्मिंदा और मैं दीवाना हुआ
KIYA RUSWA ULFAT NE KUCHH IS TRAH
VO SHARMIDA AUR MAIN DEEWANA HUA

गए वक्त जैसा न आया कभी
वो ऐसे सफ़र पे रवाना हुआ
GYAA, FIR NA AAYA KABHI LAUT KAR
VO AISE SAFAR PE RWAANA HUA

मुहब्बत की देखो ये जादूगरी
बस इक लम्हा जैसे फ़साना हुआ
MUHABBAT KI dekho ye jadugari
Bas ik lamha jaise fsaana hua
हवाओं के हमराह होकर रहे
कहाँ कोई अपना ठिकाना हुआ
HWAAON KE HAMRAAH HOKAR RAHE
KAHAA’N KOI APNA THIKANA HUA

रही भागती दूर ख़ुशियाँ सदा
मगर दर्द शाना ब शाना हुआ

RAHI BHAGTI DOOR KHUSHIYAn SADA
MAGAR DARD SHANA B SHANA HUA

चमकती रही शम’अ ये ‘प्रेम’की
लो फिर ज़ख़्म कोई सुहाना हुआ
CHAMAKTI RAHI SHAMMA YE UMR BHAR
LO FIR ZKHM KOI SUHANA HUA.

© Prem Lata Sharma…12/9/2014