शनिवार, 6 दिसंबर 2014

TARHI GHAZAL

MISRA: KUCHH BHI NAHIN RAHAA HAI MERE IKHTIYAAR MEIN

तरही ग़ज़ल ...
ख़ुशबू से कह दो फ़ैले यहाँ इख़्तिसार में
शहज़ादी महव-ए-ख़्वाब है टूटे मज़ार में

शबनम भी आंसुओ की तरह गुल पे छा गई
कोई उदास कर गया फ़स्ल-ए-बहार में

ग़म हाथ बांधे सर को झुकाए हैं हर तरफ
ये कैसी सल्तनत है मेरे इक़तिदार में

अब कोई चश्म-ए-तर का सबब पूछता नहीं
पथरा गई है आँख मेरी इन्तिज़ार में

क्या क्या लिखूँ ग़ज़ल में क़लम सोचने लगा
वो रत जगे कहाँ हैं भला अब शुमार में

इक जिन्स-ए-ख़्वाब था सो उसे भी किया है सल्ब
"कुछ भी नहीं बचा है मेरे इख्तियार में "

धड़का है, वाहिमा है, तजस्सुस है, क्या है ये
इक पल को दिल ये रहता नहीं है क़रार में

वो सब हिसाब लेने ख़िज़ाँ आई "प्रेम" से
जितने फ़रेब उसने दिये थे बहार में

TARHI GHAZAL

MISRA: KUCHH BHI NAHIN RAHAA HAI MERE IKHTIYAAR MEIN

KHUSHBOO SE KAH DO PHAILE YAHAN IKHTISAAR MEIN
SHAHZADI MAHV E KHWAB HAI TUTAY MAZAR MEIN

SHABNAM BHI AANSOO-ON KI TARAH GUL PE CHHA GAYI
KOI UDAAS KAR GYAA FASL-E-BAHAAR MEIN

GHAM HAATH BAANDHE SAR KO JHUKAAYE HAIN HAR TARAF
YEH KAISEE SALTANAT HAI MIRE IQTIDAAR MEIN

AB KOI CHASHM-E-TAR KA SABAB POOCHHTA NAHIN
PATHRAA GAYI HAI AANKH MIRI INTZAAR MEIN

KYA KYA LIKHUN GHAZAL MEIN KALAM SOCHNE LGAA
VO RAT-JAGE KAHAAN HAI BHLA AB SHUMAAR MEIN

IK JINS-E-KHWAAB THAA SO US’Y BHI KIYA SALB
KUCHH BHI NAHI RAHAA HAI MERE IKHTIYAAR MEIN

DHADKAA HAI WAAHIMA HAI, TAJJASUS HAI KYA HAI YEH?
IK PAL KO DIL YEH RAHTAA NAHI HAI QARAAR MEIN

VO SAB HISAAB LENE KHIZAAN AAYI ‘PREM’ SE
JITNEY FAREB US NE DIYE TH’Y BAHAAR MEIN

© Prem Lata Sharma.........21/6/2014

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें